Anarkali – Ishq Mein Fanaa

9 hours ago
9

Anarkali – Ishq Mein Fanaa

Chandni bhi royi thi, sitare bhi toote the,
Mohabbat ke afsane, hawaaon mein kho gaye the.
Shehzade ki palkon pe sapna jo sajaya tha,**
Taqdeer ne uss sapne ko khak banaya tha.**

Main hoon Anarkali, ishq mein fanaa ho gayi,
Zinda dafan hoon, magar rooh sada jawaan rahi.
Mohabbat jo gul thi, kaanto mein dhal gayi,**
Shehzade ki duniya sirf yaadon se bhar gayi.**

Mehfil jo sajti thi, aansuon mein beh gayi,
Shehnaiyan gunguni, har dhadkan thehar gayi.
Mohabbat ki chahat ek sazish ban gayi,**
Ek raja ka farmaan, ek aashiq ki maut ban gayi.**

Deewarein chil-layi, par awaaz tham gayi,
Saanson ki roshni bhi andheron mein gum gayi.
Dil ki sada sirf hawaaon mein kho gayi,**
Mohabbat jo amar thi, taqdeer se har gayi.**

Jab bhi chaand chamkega, kahani laut aayegi,
Shehzade ke dil mein ek aah jagayegi.
Main hoon Anarkali, ek amar dastaan hoon,**
Mohabbat ka geet hoon, jo sadiyon tak jawaan hoon…*

Loading comments...