Jo tum mere ho slowed ×reverbed

1 day ago
4

Hairaan hoon ki kuch bhi na maangoon kabhi main
Jo tum mere ho
Aisa ho kyun ki lagta hai haasil sabhi hai
Jo tum mere ho
Jo tum mere ho
To main kuch nahin maangoon duniya se
Aur tum ho hi nahin
To main jeena nahin chaahoon duniya mein
Aur nazron mein mere
Ik jahaan hai jahaan tu aur main ab saath hain
Aur wahaan koyi nahin
Tu aur main hi, haaye
Aur aaoge, aise aaoge
Teri-meri kya ye raahein yoon judi hain?
Aur raahon mein hi jo tum aaye kabhi
Ham to pyaar se hi mar jaayeinge
Aur aaoge, aise aaoge
Teri-meri kya ye raahein yoon judi hain?
Aur raahon mein hi jo tum aaye nahin
Ham to phir bhi tumhein hi chaaheinge
Jo tum mere ho
To main kuch nahin maangoon duniya se
Poochhe ye tu ki tujh mein main kya dekhta hoon
Jab chaaron taraf aaj kitne hi saare nazaare hain
Jaane na tu khud ko yoon na jaane kyun
Nazron se meri yahaan dekho na khud ko zara
Dekho na, dekho na
Zulfon se, kaise zulfon se
Teri chhupti pyaari-pyaari si muskaan hai
Aur nazrein jhuki, aur nazrein uthi
To main kya hi karoon, barbaad main
Tere honthon ko, tere honthon ko
Jinse rakhti mere pyaare-pyaare naam hain
Aur dil ka tere, aur dil ka tere
Ab main kya hi kahoon, kya baat hai
Aur, haan, dekho yahaan
Kaise aayi do dilon ki ye baaraat hai
Par kya khula aasmaan
Ya phir laayi yahaan zoron se barsaat hai?
Chaahe hon chhaaye bhi baadal to
Chaahein phir bhi tumhein, kya pata tum ko?
Maangoon na kuch aur jo
Tum mere ho

Loading 1 comment...