FINANCIAL FREEDOM - SECRETS THAT ONLY RICH KNOWS AND POOR DON'T - RICH AND POOR - GIGL

5 months ago
21

1) Clarity :- jaha par hame pata chal jaayega ki hame har total kitna amount chahiye financially free hone ke liye.

2) Self Sufficiency:- Jaha par ham itne paise kamaane lag jayenge ki hame kisi se kuch lene ki zaroorat nhi hai

3) Breathing room:- yaani hamare paas agle 1-2 mahine ke paise saved hai

Stability :- jaha par hamaare paas agle 6 mahine ke paise saved hai..

Flexibility:- yaani hamne agle 2 saal tak ke apne expenses jitna paisa jod liya hai.

Financial independence:- jaha par hamaare assets ya hamara save hua hua paisa hame itne paise kama ke de raha hai ki vo hamare zindagi bhar ke kharche yaani expenses ke paise de sakta hai.

Abundant wealth:- yaani ham kuch zaada hi paise jod chuke hai jise ham zindagi bhar bhi kharch nhi kar sakte.. Aur bas ab apni family aur apni hobbies ko time dena hai.

Iske baad hamne discuss kiya tha ki ham ek stage se dusre stage ko paar kaise karenge jiske liye hamne thinking models dekhe the jisme sabse pehla thinking model tha:-

Time is more valuable than money:- yaani hamesha ye socho ki jo time ham kisi cheez me dene jaa rahe hai vo hamari hourly value se zaada hai. Agar nhi to us time ko kahi useful jagah me lagao.

Thinking model 2 tha no:- isme hamne dekha tha ki agar ham apne annual expenses ka 25 times paisa ikatha kar lete hai to vo ek approx no hai jo hame financially free kar sakta hai. Isme hamne Index funds ki baat bhi ki thi jiski detailed video mein description me de dunga.

Next thing model tha compounding:- yaani har ek hazaar ka note jo abhi ham invest karte hai vo hame utni jaldi hame financially free kar sakta hai. To isiliye bade kharche jaha ham paise bacha sakte hai vo hai ghar, gaaadi, bahar jaa ke mehange khaana khana aur marriages.

Next thinking model tha :- side hustle yaani ya to ham real estate m invest kar sakte hai..ya phir apna side business start kar sakte hai jis se hamari financial journey jaldi complete ho jaaye.

Next thinking model tha learn to sell stuff:- ki business me sabse badi skill yehi hai ki business me cheezo ko sell karna to agar aap is par ek detailed course karna chahte hai to aap hamari GIGL video app. Me jaa kar ise kar sakte hai.

Loading comments...