AUR- Tu Hai Kahan ft. Zayn Malik (Audio Track)

11 months ago
48

DISCLAIMER :⚠️
• The original Copyright(s) is (are) Solely owned by the Companies/Original-Artist(s)/Record-label(s). All the contents are strictly done for a promotional purpose.

*DISCLAIMER*: As per 3rd Section of Fair use guidelines Barrowing small bits of material from an original work is more likely to be considered fair use. Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for fair use.
Song Credits:
Song Name: Tu hai kahan (feat. ZAYN)
Vocals: Ahad Khan, Usama Ali, & ZAYN
Lyrics and Composition: Ahad Khan, Usama Ali, Raffey Anwar
Music Producer: Raffey Anwar
Vocal Production & Mixed by: Raffey Anwar

Lyrics:
K Jab Main Hadd Se Aage Badh Gaya Tha Aashiqui Mein
Yani Zindagi Ko Le Raha Mazak Hi Mein
Fir Mazak Hi Main Mil Gaya Sab Khak Hi Mein
Choo Kar Aaya Manzile To Tanha Tha Main Vapasi Mein

Jaise Phool Tode Honge Tumne Jholi Bharke
Main Wo Phool Jo Ki Reh Gaya Tha Shakh Hi Mein
Jaise Khwab Hi Main Khwab Gahein Aankh Hi Mein
Pal Se Pal Main Kya Hua Tum Reh Gaye Bas Yaad Hi Mein

Ek Sawal Machalta Hai Mere Dil Main Kabhi
Tujhe Main Bhool Jaon Ya Tujhe Main Yaad Karoon
Tujhi Ko Sochke Likhta Hoon Jo Bhi Likhta Hoon
Ab Likh Raha Hoon To Fir Kyu Na Ek Sawal Karoon

Main Is Sawal Se Gham To Badal Du Khushiyon Mein
Par Inn Bejan Si Khushiyon Se Kya Kamal Karoon
Par Ab Sawal Bhi Kamal, Tu Sanbhaal Le Filhaal
Ye Sawal Bicha Jaal Kya Main Chaal Chaloon

Chaal Chal Tu Apni Main Tujhe Pehchan Loonga
Mai Apni Mehfilon Mein Sirf Tera Hi Naam Lunga
Tujhe Pasand Hai Dheema Lehja Or Bas Khamoshiyan
Main Tere Khatir Apni Khud Ki Saans Tham Lunga

Kya Tere Sare Aansu Mere Ho Sakte Hai
Aisa Hai To Tere Khatir Hum Bhi Ro Sakte Hai
Tere Khatir Mere Rone Par Ab Tum Bas Hass Dena
Ek Bar Teri Muskurahat Ke Piche Hum Sab Kuch Kho Sakte Hai

Kya Meri Mohabbaton Ka Koi Hisab Nahi Hai
Kya Teri Aankhon Main Mere Liye Koi Khwab Nahi Hai
Tujhe Kya Hi Karun Ghamzada Ab Jane De
Ki Tere Pas Mere Pyar Ka Jawab Nahi Hai

Kitni Muddate Hui Hai, Tumne Khat Kyun Nahi Bheja
Ga Leta Hoon Tere Liye, Mausiqi Nahi Hai Pesha
Aane Ki Khabar Hi Nahi Tere Ab
Ab Kya Mausamon Se Puchu Tere Aane Ka Andesha

Aankhon Mein Aansoo Nahi Hai, Kahan Hai Tu Kaha Tu Nahi Hai
Dil Ko Ye Ab Jan’na Hi Nahi, Bas Tum Chale Aao

Tu Hai Kahan, Khwabon Ke Iss Sheher Mein Mera Dil Tujhe Dhundta, Dhoondta
Arsa Hua, Tujhko Dekha Nahi, Tu Na Jaane Kahan Chup Gaya, Chup Gaya

Aao Fir Se Hum Chale, Tham Lo Ye Hath, Kardo Kam Ye Fasle
Na Pata Ho Manzilon Ka, Na Ho Raste
Tu Ho, Main Hoon, Bethe Dono Fir, Hum Taron Ke Tale

Na Subah Ho Fir, Na Hi Din Dhale
Kuch Na Keh Sake, Kuch Na Sun Sake
Baatein Saari Woh Dil Main Hi Rahein
Tumko Kya Pata Hai Kya Ho Tum Mere Liye

Kehkasha Ho Tum, Kahaniyon Ki Pariyon Ki Tarah Ho Tum
Mujh mein Aa Sake Na Koi Iss Tarah Ho Tum
Ho Yaqeen Tum Mera, Ya Fir Guman Ho Tum
Ashiyan Ho Tum, Main Bhatka Sa Musafir Aur Makan Ho Tum
Meri Manzilon Ka Ek Hi Raasta Ho Tum
Dhoondta Hai Dil Tujhe Bata Kahan Ho Tum

Ho Jahan Kahin Bhi, Aao Paas Take Aansu Mere Tham Sake
Yaad Aa Rahe Ho Tum Mujhe Ab Har Lamhe
Aisi Zindagi Ka Kya Jo Tum Zindagi Main Hoke
Meri Zindagi Na Ban Sake

Sochta Rahoon Ya Bhul Jaun Ab Tumhe
Tum Mil Hi Na Sakoge, To Fir Kaise Chahoon Ab Tumhe
Tere Sare Khwab Pal Main Jod Denge
Jisme Tu Hi Na Basega, Fir Wo Dil Hi Tod Denge

Chod Denge Wo Sheher, Ke Jisme Tum Na Hoge
Toot Jayenge Makan, Woh Sare Hasraton Ke
Guzre Pal Jo Sath Tere, Wo Pal Hai Bas Sukoon Ke
Mil Lo Ab Tum Iss Tarah Se, Ke Fir Nahi Miloge
Tu Hi Tha Sath Ma\ein Mere, Kaise Main Jiyunga Akele
Taare Gin Gin Ke Hogayi Hai Subha
Tu Hai Kahan, Khwabon Ke Iss Sheher Mein Mera Dil Tujhe Dhundta, Dhoondta
Arsa Hua, Tujhko Dekha Nahi, Tu Na Jaane Kahan Chup Gaya, Chup Gaya

Loading comments...