Baang-e-Dara__94___Sitara___The_Star___Allama_Iqbal___Iqbaliyat___AadhiBaat___Explanation___Tashreeh

11 months ago
50

=================

Baang-e-Dara: 94

Sitara
The Star

Qamar Ka Khof Ke Hai Khatra-e-Sehar Tujh Ko
Maal-e-Husn Ki Kya Mil Gyi Khabar Tujh Ko?

Are you afraid of the moon or the dawn?
Are you conscious of the end of beauty?

Mataa-e-Noor Ke Lut Jane Ka Hai Dar Tujh Ko
Hai Kya Haras-e-Fana Soorat-e-Sharar Tujh Ko?

Are you afraid of being robbed of light’s wealth?
Are you afraid of annihilation like the spark?

Zameen Se Door Diya Aasman Ne Ghar Tujh Ko
Misal-e-Mah Urhayi Qabaye Zar Tujh Ko

The sky has settled you far from the earth
It has wrapped you in gold’s mantle like the moon

Ghazab Hai Phir Teri Nanhi Si Jaan Derti Hai!
Tamam Raat Teri Kanpte Guzerti Hai

It is outrageous that your feeble life is still in fear
Your whole night passes in trembling with fear

Chamakne Wale Musafir! Ajab Ye Basti Hai
Jo Auj Aik Ka Hai, Dusre Ki Pasti Hai

O shining traveler! This habitation is strange
The rise of one leads to the fall of the other

Ajal Hai Lakhon Sitaron Ki Ek Waladat-e-Mehr
Fana Ki Neend Mai-e-Zindagi Ki Masti Hai

The birth of one sun is the death of a myriad stars
Annihilation’s sleep is the ecstasy of life’s wine

Widaa-e-Ghuncha Mein Hai Raaz-e-Afrainash-e-Gul
Adam, Adam Hai Ke Aaeena Daar-e-Hasti Hai!

Flower bud’s departure is the secret of flower’s birth
Is annihilation life’s end, or is the equivalent of life!

Sukoon Muhal Hai Qudrat Ke Kaarkhane Mein
Sabat Aik Taghaiy'yur Ko Hai Zamane Mein

Quiescence is difficult in the universe
Only change is permanent in the universe

🔶 Hashtags

#allamaiqbal
#allamaiqbalpoetry
#urduadab
#iqbaliyat
#urdushayari
#urdupoetry
#urdustatus

Loading comments...