Gardishon Ke Hein Maare Hue Na - Nusrat Fateh Ali Khan | Full Song with Lyrics | Sprixiz Music Ent

1 year ago
36

Jitne Bhi Zakham Hain Mere Dil Par (Gardishon Ke Hein Maare Hue Na)
by
Nusrat Fateh Ali Khan

#nusratfatehalikhan #qawwali #sufisongs #pakistanisongs #ghazal #bewafasongs #dillagi #sadsongs #pakistanisadsongs #rahatfatehalikhan #gardishonkemaare #jitnebhizakhmhai #nusrat #sufi #sprixiz

Gardashon Ke Hain Mare Huye (Complete Original Version) · Ustad Nusrat Fateh Ali Khan

Jitne Bhi Zakham Hain Mere Dil Par

Released on: 1989-01-01
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Gardishon ke hain Maare Hue Na, Dushmanon ke Sataye Hue hain
Jitne Bhi Zakhm hain Mere Dil Par,
Doston ke Lagaye Hue hain
//Jitne Bhi Zakhm hain Mere Dil Par, Doston ke Lagaye Hue hain (Chants…)

Ishq Ko Rog Maar Dete hain, Aqal Ko Sog Maar Dete hain
Aadmi Khud Ba Khud Nahi Marta, Doosre Log Maar Dete hain
//Jitne Bhi Zakhm hain Mere Dil Par, Doston ke Lagaye Hue hain (Chants…)

Log Kaanton Se Bach ke Chaltay hain, Humne Phoolon Se Zakhm Khaye hain
Tum toh Gairon Ki Baat Karte Ho, Humne Apne Bhi Aazmaye hain
//Jitne Bhi Zakhm hain Mere Dil Par, Doston ke Lagaye Hue hain (Chants…)
Kasa-E-Deed Le ke Duniya Mein, Maine Deedar Ki Gadaye Ki
Mere Jitne Bhi Yaar The Sabne Hasb-E-Taufeeq Bewafai Ki
//Jitne Bhi Zakhm hain Mere Dil Par, Doston ke Lagaye Hue hain (Chants…)

Jab Se Dekha Tera Qudd-O-Qamat

Tumhein Dekha Toh Zahid Ne Kaha Iman Ki Ye Hai ke
Ab Insaan Ko Sajda Rawa Hone Ka Waqt Aaya
//Jab Se Dekha Tera Qudd-O-Qamat (Chants…)

Ay Mast-E-Naaz Dekhne Waalo ke Dil Toh Dekh
Pamal Ho Gaye Teri Raftaar Dekh Ker
//Jab Se Dekha Tera Qudd-O-Qamat (Chants…)

Giraya Haat Se Sheesha Surahi Todh Di Maine
Sharab Seekh Pe Daali Kebab Sheeshe Mein
//Jab Se Dekha Tera Qudd-O-Qamat (Chants…)

In Aankhon Se Qayamat Ki Nishani Kaun Dekhega
Buth-E-Kafir Teri Uth’ti Jawani Kaun Dekhega
//Jab Se Dekha Tera Qudd-O-Qamat
Jab Se Dekha Tera Qudd-O-Qamat,
Dil Pe Tooti Hui Hai Qayamat
Har Bala Se Rahe Tu Salamat, Din Jawani Ke Aaye Hue hain
//Aur De Mujhko De Aur Saaki (Chants…)

Qareeb Aur Bhi Aao ke Shauq-E-Deed Mite
Sharab Aur Pilao ke Kuch Nasha Utre
//Aur De Mujhko De Aur Saaki (Chants…)

Apne Dil-E-Sadchak Ko See Sakta Hoon,
Mehoom-E-Karam Ho ke Bhi Ji Sakta Hoon
Mauqof Nahi Jaam Pe Rindii Meri,
Saki Tere Ghusse Ko Bhi Pi Sakta Hoon
//Aur De Mujhko De Aur Saaki (Chants…)

//Aur De Mujhko De Aur Saaki (Chants…)
Hosh Rehta Hai Thoda Sa Baaki
Aaj Talkhi Bhi Hai Intiha Ki, Aaj Wo Bhi Paraye Hue hain
//Aaj Talkhi Bhi Hai Intiha Ki, Aaj Wo Bhi Paraye Hue hain

Kal The Abad Pehlu Mein Mere

Kal The Abad Pehlu Mein Mere, Ab Hai Gairo ki mehfil Mein Dhhere
Meri Mehfil Mein Kar ke Andhere, Apni Mehfil Sajay Hue hain
Apne Haathon Se Khanjar Chala kar, Kitna Masoom Chehra Bana kar
Apne Kaandhon Pe Ab Mere Qatil, Meri Mayyat Uthaye Hue hain

Mehwashon Ko Wafa Se kya Matlab, In Buton Ko Khuda Se kya Matlab
Inki Masoom Nazron Ne Nasir, Log Pagal banaye Hue hain

Gardishon ke hain Maare Hue Na, Dushmano ke Sataye Hue hain…

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------

I do not own this music.

All the materials inside this video are copyrighted by the author, music director, lyricist, singer.

For more such amazing content, and music/lyrics videos from Nusrat Fateh Ali Khan and other artists,
SUBSCRIBE: https://www.youtube.com/@sprixiz/videos

Like, Comment and Share this video with everyone you love.

Please send us your feedback and suggestions at: anment101@gmail.com

#NusratFatehAliKhan #Qawwali #SufiMusic #GardishonkeMaareHueHai #NFAKLyrics

Loading comments...