Middle Class

1 year ago
44

Middle Class ❤️

Aaj kal ke bachey middle class honay ko ghalat samajhtey hain, iss lafz ko apnaney se katratey hain, chahtey hain iss laqab se chutkara paa lain.

Unhain kia pata middle class ek lafz ya laqab nahin, poori zindagi ka nichor hai, rehnay ka tareeqa hai, jeenay ka saleeqa hai.

Middle class ka matlab hai nashtey ki table pe ukhray wrapper wali makhan ki tikya, jam ki sheeshi main churi nahin chamcha, orange juice ka jug nahin, chai ke mugs se bhari tray, paapey, achaar aur raat ki tandoor ki roti.

Middle class ka matlab hai ghar ki har cheez pe kapra ya chaadar.
Sofay, table, kursiyan, yahan tak ke
TV pe bhi chaadar daal do dhool aayegi!
Jaisey hee mehmaan aaney lagain, ghar main khalbali mach jati hai, apne kapron se zyada sab ko ghar ke saamaan ke kapron ki parwah hoti hai unhain utaar phaikain.
Agli baar dekhna, darwazey ke peechay para hoga ek bara sa gola, saari chaadaron ka.

Middle class ghar main raat ko ek kamrey main train ki berths ki tarhan sath sath parey bohat se gaddey, unn pe takye, AC 26 pe aur darwazey ke neechay chaadar thusi hui.
Arey AC ki hawa bahar jaegi! Lagao wapis chaadar.
Subha Fajr main AC bund kar dena bas!

Middle class ke khud'daar abba apni purani shirt pe neel laga ke pehantey rahengay lekin bachon ki parhayi main apna ek ek paisa laga dengay. Amma apni khuaishon ka gala ghont ke bachon ki choti choti khuaishaat poori karengi.
Aa jao aaj maine broast banaya hai khaney main! Haan haan sab ko leg piece milega!

Middle class ghar main shadi ya dawat ki tayari bhi bilkul alag si hoti hai.
Alag bartan nikal aatey hain, cabinet ke andar rakhey sheeshay waley glass bhi namoodar hotay hain, dhuley huey maiz posh, amma ke jahaiz ke set ke chamchey, kalaf waley kaprey,
yehi nahin perfume bhi alag hoti hai sirf dawat main lagayenge, warna body spray hai na, ghar main wohi bas.

Middle class ghar main kuch zaa'ya nahin hota. Raat ke shorbey main andey ubaal ke daal do, kal ke liye thora dahi bacha ke freezer main rakh do, kheeray ka itna mota chilka matt utaaro, toothpaste thora aur pichkao nikal aayega, ghee ki bottle ulti kar ke rakho kaafi tail nikal aayega, yeh wali shirt chotay bhai ko dey do, tum abba ki pehan lo,
woh wala dupatta aapi ke neelay jorey ke sath match kar ke pehan lo jao shabash.

Middle class ka matlab bahar hotel main jao toh abba menu dekh ke tilmilatey rehtay hain, bhai unhain samjhatey hain, chotay behan bhai ek doosrey ko table ke neechay laatain maartey rehtay hain, amma poochti hain yeh barabar table pe shaayen shaayen karti kia dish aayi hai?

Middle class log apne bachon ko mehngay tohfay na bhi dey paayen toh unhain acha ikhlaaq, muhazib guftugu, adab o aadaab, huqooq ki adaegi aur sab main barabari ka qeemti dars zaroor detay hain.

Middle class hona koi buri baat nahin.
Class system yun toh hai hee ghalat magar kum aamdani main khud'daari se zindagi guzaarna bhi ek medal deserve karta hai.
Medal na sahi, thori taareef toh banti hai unn sab ki jinhon ne thorey main shukar kia aur kabhi na gila kia ..

Loading comments...