Milad un nabi ﷺ

1 year ago
13

1) Hadise qudsi hai ALLAH ne farmaya ke aye Mahboob (ﷺ) aap ko paida farmana maqsud na hota to na mai zamin ko paida karta na Aasman ko goya  Allah ta'aala kuch na paida farmata na use jo zamin me/pr hai na use jo aasman pr/me hai yani na suraj na chand na Arsh na kursi, kuch bhi nahi...

2) Allah ne Aadam علیہ السلام se farmaya;Aaye Aadam Muhammad (ﷺ) na hote to mai tujhe bhi na banata
{Behki Sharif}

- jo kuch Allah ne banaya sab Nabi ﷺ  ke Milad ke sadqe me banaya, zahir hai Allah ne khud RasuAllah ﷺ  ka milad manaya...

3) Huzur ﷺ  Ke zamane me Masjid-e-Nabwi me Milad hui isme khud Huzoor ﷺ ne apni weladat ke fazail beyan kiye

📙 {Tirmizi Sharif, Jild-2, Safa-201} 📙

4) Hazrat Abu Qatada رضی اللہ عنہ se riwayat hai ki;
RasulAllah ﷺ se Peer(Monday) ka Roza Rakhne ke bare me sowal kiya gaya to Aap ﷺ ne Farmaya ke "Isi din meri weladat hui aur isi din mujh par Quran nazil hua"

📙 {Sahi Muslim Sharif, Jild-2, Hadis No-819} 📙

5) Huzoor ﷺ ne Apne Milad ke khushi me bakre zabah kiye aur zeyafat ka ayhtamam farmaya (aur Kul Sahaba ko langare Milad khilaya)
{Behki Sharif sunanul qubra}

{Imam Askalani fathaluk bari me}
{Imam Askalani Tahzibul tahzib me}
{Imam Askalani Taskhisul Habib me}
{Imam Mizzi Tahzibul kamal me}
{Imam Mizzi Tahzibul Asma me}
........................

6) Hazrat Siddiq-e-akbar رضی اللہ عنہ ne Farmaya ke jisne Nabi e kareem ﷺ ke Milad par ek dirham bhi kharch kiya wo jannat me mere sath hoga
📙 {Annematul kubra Alal Alam page 7} 📙

👉 Allah ne RasulAllah ﷺ ka Milad manaya
👉 Nabi ﷺ ne Apna milad manaya Farishto ne Milad manaya
👉 Sahaba ne  ﷺ Milad manaya Tamam Allah walo ne milad manaya

Loading comments...