Nusrat Fateh Ali khan - Is Karam Ka Karoon Shukar Kaise Ada with Lyrics

1 year ago
135

Naat Sharif In Praise of Beloved Prophet Muhammad Mustafa (Sallallahu Alaihi Wa Alaehi Wa Sallam)
Bebandagi Urooj Kiya, Banda Kar Diya
Tara Mere Naseeb Ka Tabinda Kar Diya

Kitni Bari Huzoor Ki Banda Nawazian
Mujh Ko Mere Sawaal Ne Sharminda Ker Diya

Is Karam Ka Karoon Shukar Kaise Ada
Jo Karam Mujh Pe Mere Nabi Ker Diya

Mein Sajata Tha Sarkaar Ki Mehfilein
Mujh Ko Har Gham Se Rub Ne Bari Kar Diya

Is Karam Ka Karoon Shukar Kaise Ada
Gham E Aashqi Se Pehle Mujhe Kaun Janta Tha

Pehle Mujhe Kaun Janta Tha, Pehle Mujhe Kaun Janta Tha
Pehle Mujhe Kaun Janta Tha, Pehle Mujhe Kaun Janta Tha

Muhabbat E Mustafa Se Pehle Mein Kuch Nahi Tha Mein Kuch Nahi Tha
Karam Ki Is Intiha Se Pehle Mein Kuch Nahi Tha Mein Kuch Nahi Tha

Pehle Mujhe Kaun Janta Tha, Pehle Mujhe Kaun Janta Tha
Pehle Mujhe Kaun Janta Tha, Pehle Mujhe Kaun Janta Tha

Tere Karam Ka Tassaduq Teri Ata Ke Nisaar
Mein Kya Tha Aur Mujhe Kya Bana Diya Tu Ne

Pehle Mujhe Kaun Janta Tha, Pehle Mujhe Kaun Janta Tha
Gham E Aashqi Se Pehle Mujhay Kaun Janta Tha

Teri Zaat Ne Bana Di Meri Zindagi Fasana
Mein Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon

Ata Kia Mujh Ko Dard E Ulfat
Kahan Thi yeh Pur Khata Ki Qismat
Mein Is Karam Ke Kahan Tha Qaabil
Huzoor Ki Banda Parwari Hai
Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon, Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon

Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon...
Ban Gayi Baat Unka Karam Ho Gaya
Shaakh E Nakhle E Tamanna Hari Ho Gayi
Mere Lab Pe Muhammad Ka Naam Aa Gaya
Baithe Baithe Meri Haazri Ho Gayi
Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon, Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon

Khaliq Ne Mujh Ko Meri Talab Se Siwa Diya
Sarmaya Dar E Ishq E Muhammad Bana Diya
Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon, Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon

Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada
Jo Karam Mujh Pe Mere Nabi Ker Diya
Mein Sajata Tha Sarkaar Ki Mehfilein
Mujh Ko Har Gham Se Rub Ne Bari Ker Diya

Zikr E Sarkaar Ki Hain Bari Barkatein
Jab Lia Naam E Nabi Mein Ne Dua Se Pehle
Ho Gayi Mujh Pe Ata Meri Khata Se Pehle
Zikr E Sarkaar Ki Hain Bari Barkatein, Zikr E Sarkaar Ki Hain Bari Barkatein
Muhammad Mustafa Ka Naam Bhi Kia Ism E Aazam Hai
Jahaan Koi Na Kaam Aaye Wahaan Ye Kaam Aata Hai

Zikr E Sarkaar Ki Hein Bari Barkatein, Zikr E Sarkaar Ki Hein Bari Barkatein
Mil Gayeen Raahatein, Azmatein, Rifatein
Mein Gunaahgaar Tha Beamal Tha Magar
Mustafa Ne Mujhe Jannati Kar Diya

Lamha Lamha Hai Mujh Per Nabi Ki Ata, Lamha Lamha Hai Mujh Per Nabi Ki Ata
Qamli Wale Ke Karam Ki Baat Hai
Warna Mujh Mangte Ki Kya Auqaat Hai

Lamha Lamha Hai Mujh Par Nabi Ki Ata, Lamha Lamha Hai Mujh Par Nabi Ki Ata
Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko Utni Meri Auqaat Nahi Hai
Yeh To Karam Hai Un Ka Warna Mujh Mein To Koi Baat Nahi Hai

Lamha Lamha Hai Mujh Per Nabi Ki Ata
Doston Mein Aur Mangoon Maula Se Kya
Kya Yeh Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mehboob Ka Ummati Kar Diya

Gale Mein Tauq-e-Gulami Hai Shah-Aye-Batha Ka
Bhala Yeh Kam Hai Nishaan Mujh Se Benishaan Ke Liye
Apni Qismat Pe Kiyoon Na Naaz Karoon
Log Kehte Hain Gulam-e-Shah-Aye-Batha Mujh Ko
Kya Yeh Kam Hai Bhala, Kya Yeh Kam Hai Bhala

Mujhe Mil Gayi Dono Alam Ki Shahi
Mera Un Ke Mangtoon Mein Naam Aa Gaya Hai
Kya Yeh Kam Hai Bhala, Kya Yeh Kam Hai Bhala

Manam Adna Sana Khuwan E Muhammad
Ghulam E Az Ghulaman E Muhammad
Kya Yeh Kam Hai Bhala, Kya Yeh Kam Hai Bhala

Ba Sidq O Safa Gasht Bechara Jami
Ghulam E Ghulaman E Aalae Muhammad
Kya Yeh Kam Hai Bhala, Kya Yeh Kam Hai Bhala

Kya Yeh Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mehboob Ka Ummati Ker Diya

Jo Dar E Mustafa K Gada Ho Gaye
Daikhte Daikhte Kya Se Kya Ho Gaye
Aiesi Chasm E Karam Ki Hain Sarkaar Ne
Dono Aalam Mein Un Ko Gani Ker Diya

Koi Mayoos Lauta Na Darbaar Se
Jo Bhi Manga Mila Mere Sarkaar Se
Sadqe Jaoon Niyaaze Lajpaal Ke
Har Gada Ko Sakhi Ne Sakhi Ker Diya

Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada
Jo Karam Mujh Pay Mere Nabi Ker Diya...

Loading 1 comment...