Hamne Ankho Se Dekha Nahi He Magar || Full Naat 2022

1 year ago
34

"Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahi Magar". A naat is a form of devotional poetry in the Islamic tradition that praises the Prophet Muhammad .
The naat expresses the poet's love and reverence for the Prophet, even though he has not seen him with his eyes, but only in his heart .You can listen to the naat here or watch a video with lyrics here

Humne Ankhon Se Dekha Nahi Hai Magar
Unki Tasveer Sine Me Moujood Hai
Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Maujud hai

Phool khilte hein Padh kar ke Salle Ala
Jhoom kar keh rahi hai ye Baage Saba
Aesi Khushbu Chaman ke Ghulon mein kahan
Jo Nabi ke Pasine mein Maujud hai

Humne Ankhon Se Dekha Nahi Hai Magar
Unki Tasveer Sine Me Moujood Hai
Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Maujud hai

Hamne maana ke Jannat bahot hai haseen
Chhod kar Ham Madina na jayein kahin
Yun to Jannat mein sab hai Madina nahin
Aur Jannat Madine mein Maujud hai

Humne Ankhon Se Dekha Nahi Hai Magar
Unki Tasveer Sine Me Moujood Hai
Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Maujud hai

Chhodna Tera Tayba gawaara nahin
Saare Aalam mein Aesa Nazaara nahin
Aesa Manzar Zamaane mein dekha nahin
Jaisa Manzar Madine mein Maujud hai

Humne Ankhon Se Dekha Nahi Hai Magar
Unki Tasveer Sine Me Moujood Hai
Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Maujud hai

Woh Abu Bakr, Faruq, Usman, Ali
Hai yeh sab un ke deene Mubih ke Faqih
Wo Faqeeho ke afsar shahe Anbiya
Wo Shahenshah Madine mein maujood he

Humne Ankhon Se Dekha Nahi Hai Magar
Unki Tasveer Sine Me Moujood Hai
Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Maujud hai

Besahaaron ko sine se lipta liya
Jisne Jo Maanaga Usko ata kar diya
Wo Fakiron ke Afsar Shahe Ambiya
Wo Shahenshah Madine mein Mojud hai

Humne Ankhon Se Dekha Nahi Hai Magar
Unki Tasveer Sine Me Moujood Hai
Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Maujud hai

Loading 1 comment...