Train journey دریاے سندھ

1 year ago
14

Sailaab Ki Tabah Kariyan Essay In Urdu Flood In Pakistan: Selaab aik qudrati aafat hai umooman musalsal aur musladhar barish is ka sabab bana karti hai jab barish zaroorat se ziyada hoti hai aur zameen mein pani peenay ki mazeed gunjaish nahi rehti to yeh pani idher udhar beh nikalta hai. Pani jama karne ke zakhair pur ho jaien to zayed pani sailab ki shakal mein daryaon aur nehron ke dahane tor kar faslon aur abadiyon mein daakhil ho jata hai. Pakistan mein selaab un qudrati afaat mein se aik hai jin ka nuqsaan sab se ziyada hota hai. Sirf guzashta paanch chay saloon mein selaab ke baais be ghar aur mutasir honay walay afraad ki tadaad dekhi jaye to yeh 4 crore taq poanch jaye gi.

Pakistan ki pichli tareekh mein selab ki tabah kariyan itni holnaak nahin. Is ki aik barri wajah yeh hai ke hamaray parosi mulk bharat ne jahan hamaray kayi daryaon ke dhanay hain, bari tadad mein daryaon par dam bana liye hain. Pehlay jab un daryaon mein sailaab aata tha to bharti alaqa bhi us se mutasir hota tha magar un damon ki tameer ke baad bharat ne apni sarzameen mein sailabon par bari had tak qaboo pa liya hai. Wahan kayi dinon ki mutawatar barish ke baad bhi pani zakheera karne ki gunjaish rehti hai jab dam pur ho jatay hain to bharat ki taraf se zayed pani chorr diya jata hai jab yeh pani Pakistani alaqay mein dakhil hota hai tou yahan pani zakheera karne ka intizam nahin hota jis ki wajah se ye pani sailaab ki shakal ikhtiyar kar ke ird gird ki aabadiyon mein tabahi macha deta hai.

Yeh baat to un sailaabon ki hai jo Bharat se Pakistan mein daakhil honay walay daryaon mein atay hain, magar haqeeqat yeh hai ke is ke siwa bhi hamari haalat kharab hai. Darya e Sindh , Bharti ilaqay se nahin guzarta, magar selaab yahan bhi aata hai aur baray zoor ka jis se Khyber pakhtunkhwa sameit hamaray 3 soobay mutasir hotay hain. Yahan hum kisi aur ko ilzaam nahi de satke hum ne tarbeela dem ke baad itnay barray aabi dhaaray par koi bara dam nahi banaya. Kala bagh dam arbon ke kharchay ke baad iftitahi marhalay ke qareeb pohanch kar siyasi mufadaat ki nazar ho gya is qisam ka koi dusra mansoobah bhi guzashta teen ashron mein shuru nahi kiya ja saka nateeja yahi nikal sakta tha ke hum pani ke dharon ki lapait mein atay. Haqeeqat yeh hai ke hum ne selaab se jitne nuqsanaat uthaye hain aur un ki talaafi ke liye hamein imdaad maang maang kar jitna kharcha karna parra hai is se nisf akhrajaat mein hum baray baray dam bana sakte thay.

Loading 1 comment...