DANVEER KARNA THE UNLUCKY WARRIOR STORY IN RAP | MAHABHARAT

1 year ago
20

Lyrics:

Х

Dheer-veer gambhir karna tha yuddh neeti ka gyaani veer na uske jaisa koi na uske jaisa tha daani teer chalata bijli sa vo shastro ka abhyasi vaani se shastrath kare to lagta tha sanyasi aasmaan tak shor machaye Vijay Dhanush tankaar Saare teer karan ke seedhe girte jaakar saagar paar gyaan ka na hi bal ka karta tha vo tanik ghamand shan bhar me hi kar deta dushman ke an-gin khand ran-kaushal mein uske jaisa, jag mein koi nahi tha duniya ke lakho prashno ka uttar sirf wahi tha ran thal ka aabhushan tha vo dharti ka samman panno me apne itihas ke wo hai veeron ki pehchan jab Karan chala samrangan me Arjun ka tez parakhne teeron pe jab teer chale fir pandav lage tadapne krukshetra mein swad yudh ka, chakhne aur chkhane Dekho ang raaj radheya chala, ab ran kaushal dikhlane

mahaveer jab rath par chadh kar, samar bhumi mein

pandav sena par ghir aayi, bhay ki kali chhaya bhaago- bhaago pran bachao, har koi chillaya madhav ke atirikt na samjha koi karn ki maya keshav bole suno parth, tum samay na vyarth gawao vijay chahte ho toh pahle apna baan chalao duryodhan aaya hai karne maanav-ta ka mardan kintu karn ki muthhi me hai mrityu ki bhi gardan

Loading comments...