क्या दूध CANCER की वजह है

2 years ago
9

" Dudh nahi piyoge to kamzoor ho jaoge " , hum ye statement sunte hue bade hue aur ab yahi apne bachon se bhi kehte hain . Magar kya ye vakaai sach hai ? Kya dudh sach main healthy nahi ? Kya apne kabhi ye jaanne ki koshish ki hai ki dairy industries dudh main jitney health benefits batati hain , kya asal main dudh main utne health benefits hain bhi i ya nahi ? Hum apse is video main kahi hui har baat maanne ko nahin keh rhe , hum bas ye chahte hain ki dairy industry jo apko bechna chahti hai aap uspar vishwas na karein . Aap Google se jaankari lein , reliable websites par articles padhein , aur fir facts ko confirm karein . Hum khushi khushi apne ghar walon ko dudh aur dudh se bane products dete hain , ye sochkar ki ye unki sehat ke liye zaruri hain , magar aisa karke hum asal main unki health ko kaafi nuksaan pahuncha rahe hain . Agar apne bhi kabhi apne bachon ko dudh na peene par daant lagayi hai , to aap is video ko zarur dekhein . Humne kuch sources bhi attach kiye hain jinko humne is video ko banane ke liye refer kiya hai . Maze ki baat pata hai kya hai ? Pichle 21 saalon se , har saal June 1 ko World Milk Day manaya jata hai , jismain dairy sector ko celebrate kiya jata hai , aur dudh ko ek global food ke taur par mahatva diya jata hai . Jahan ek taraf aaj 100 desh is jashn ka hissa bane wahin dusri aur 5 crore gaay ko dudh ke liye exploit kiya gaya .Ab sawal ye hai ki kya hum vakaai main is krurta ka hissa banna chahte hain ? Aap is video ko dekhein , ismain jo facts bataye gaye hain unhain confirm karein , aur fir hi sahi galat ka faisla kare .

Loading comments...